Accha Bolo Yaa Fir Chup Raho
Huzur ne Farmaya:
"Jo shakhs ALLAH aur
Yaum e Aakhirat pr Imaan
rakhta ho to use Chahiye
ke wo Apne Mehmaan ki
izzat kare,
aur Jo ALLAH aur yaum e
Aakhirat pr imaan rakhta
ho to use chahiye ke wo
achhi bhali baat kahe va
Khamosh rahe".
Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat
Al-qiyamah wa ar-riqaq wa al-wara 37,
Hadees Nu. 2500
Malum hua ke Bolne se
Pehle Bolne wala khub soch
samajh le tab bole, yaa fir
Khamosh hi rahe to Behtar
hai, kahi aisa naa ho ke
bhali baat bhi ulta Nuqsaan
deh ho jaye.
Mehmaan ke aane par uska
achhe Akhlaaq w Andaaz
ke Saath isteqbaal karna,
use Khush Aamdeed kehna
(khatir-dari me kisi tarah ki
kami naa hone dena,
(salaam karna) aur uski.
Mehmaan ka jaiza (khusoosi
aezaz wa Ikram) ek din ek
raat hai, aur mehmaani 3 din
3 raat hai aur mehmaan ke
liye yeh baat jayez nahi ke
woh itna taweel qiyam kare
ke jis se mezbaan mushaqqat
me padh jaye.
[Muslim: 639)
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
Post
liye Follow kare
Comments
Post a Comment