Posts

Showing posts with the label Hadees

Accha Bolo Yaa Fir Chup Raho

Image
Huzur ne Farmaya: "Jo shakhs ALLAH aur Yaum e Aakhirat pr Imaan rakhta ho to use Chahiye ke wo Apne Mehmaan ki izzat kare, aur Jo ALLAH aur yaum e Aakhirat pr imaan rakhta ho to use chahiye ke wo achhi bhali baat kahe va Khamosh rahe". Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-qiyamah wa ar-riqaq wa al-wara 37, Hadees Nu. 2500 Malum hua ke Bolne se Pehle Bolne wala khub soch samajh le tab bole, yaa fir Khamosh hi rahe to Behtar hai, kahi aisa naa ho ke bhali baat bhi ulta Nuqsaan deh ho jaye.  Mehmaan ke aane par uska achhe Akhlaaq w Andaaz ke Saath isteqbaal karna, use Khush Aamdeed kehna (khatir-dari me kisi tarah ki kami naa hone dena, (salaam karna) aur uski.  Mehmaan ka jaiza (khusoosi aezaz wa Ikram) ek din ek raat hai, aur mehmaani 3 din 3 raat hai aur mehmaan ke liye yeh baat jayez nahi ke woh itna taweel qiyam kare ke jis se mezbaan mushaqqat me padh jaye. [Muslim: 639 ) Post ko Share Jarur kare. Quran, Hadees, Sunnat & Post liye Follow kare

Un Pr Jahannum Ki Aag Haraam Hai

Image
Nabi kareem ne Farmaya: Kya main tumhe aise logon ki khabar naa du jo Jahannum ki aag pr aur Jahannum ki aag un par Haraam hai? jahannum ki aag logon ke Qareeb Rahne wale, Aasani karne wale, aur Naram Akhlaq wale pr Haraam hai. Jamiat Tirmizi: jild 4, kitab sifat Al Qiyamah wa ar riqaq wa al wara 37, Hadees Nu. 2488 Yaani jo Apne Husn-e-Akhlaq aur Husn muamle se Logo ke dilon me aur Duniyawi muamlat me Dusron ke saath Aasani, Narmi, Tawaze, aur Khush Akhalaq tarz Apnane wala hai, iske liye Jahannum ki Aag Haraam hai. Ek hadees me Nabi kareem un ne farmaya: Qayamat ke din bande i ke Mizaan (tarazu) me sab se Bhari Chiz Husn-e-Akhlaq hoga [ Tirmizi: 2002). Quran, Hadees, Sunnat & Islamic Lifestyle se Related Post Dekhne ki Liye Follow karet & Post ko Share Kare

Namaz Aur Shaitaan /hadees sharif

Image
Ek Shakhs kahin Ja Raha tha Shaitan bhi uske Sath ho gaya, Raaste me us Shakhs ne na to Fajr Adaa ki na Zuhar na Asar na Maghrib aur na hi Isha Yaani ki ek bhi namaz nahi Padhi aur Sone Laga. To Shaitan bola ki mai chalta hu, Ispar wo bola kyun to Shaitan bola ki Maine sirf 1 Sajda nahin kiya tha wo bhi Hazrat Aadam Alaihissalam ko to Mujhpar itni laanate utri ki jiska Hisaab lagaana bhi mushkil hai.Aur tune to 1 bhi Sajda nahi kiya wo bhi Khudaye zul jalaal ko to mai darta hoon ki tujhpar kis qadr dardnaak Azaab Naazil ho sakta hai isliye main darta hu aur Tere Saath nahi Rahna chahta. Durratun Naseheen,Safah 286 Halanki ek Musalman shaitan ke barabar hargiz nahi ho sakta kyunki wo Mal'un Be-imaan hai aur Musalman Imaan wala hai magar ye Namaz ki ahmiyat ki Daleel hai ki Namaz Chhodhna kis Qadar Azaab ka Baa'is hai ki Shaitan Mal'un bhi us Shakhs se Panaah maangta hai jo Namaz nahi Padhta. Namaz hi wo ibaadat hai ki kisi Surat Maaf nahin warna Hajj saahibe isteta'at (D...

Dajjal se bhi khatarnaak fitna

Image
Nabi kareem ne Farmaya: kya main tum ko aisi Cheez ke bare me naa bata dun jo Mere Nazdeek Maseeh Dajjal se bhi Zyada khatarnaak hai? Sahaba ne arz kiya: Farmaiye Yaa Rasulullah ? Aap ne farmaya: wo posheeda (chhupa hua) shirk hai. Jo ye hai ke Aadmi Namaz padhne khada hota to apni namaz ko sirf is wajah se khubsurati se ada karta hai ke koi (bagal wala) Aadmi use dekh raha hai. Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az Zuhd 37, Hadees Nu. 4204. *Grade Sahih* Maseeh Dajjal ka maamla to wazeh hai jise Nabi Kareem ne khol kar (Saaf Alfaaz me) Bayan farma diya hai (aur isse bachna asaan hai) Lekin Riya (dikhawa) Aam Taur pr dil me is tarha paida hoti hai ke ye insaan ko Aahista Aahista ALLAH Ta'ala ki bajaye Logon ki taraf mutwajjah kar deti hai.  (aur is se bachna intahi mushkil hai) is liye nabi kareem binne ise fitna-e-Dajjal se bhi Zyada khoufnaak aur shirk khafi (chhupa hua) qarar diya hai. Rasulullah Subtitne Farmaya: Main tumhare baare me sab se Zyada jis cheez se darta hu wo Chhota s...

Un Shauhar -Biwi pr Raham Farmaye

Image
Rasulullah ne Farmaya: ALLAH us Shakhs pr Raham Farmaye jo Raat ko uthe aur Namaz Parhe aur Apni Biwi ko bhi Bedaar kare (Jagaaye), Agar wo naa uthe to Uske Chehre pr paani ke Chheente maarkr use Namaz ke liye Uthaye, ALLAH us Aurat pr bhi Raham farmaye jo Raat ko uth kar Namaz Parhe aur Apne Shohar ko bhi jagaaye, Agar wo na uthe to Uske chehre pr Paani ke Chheente maarkr Namaz ke liye Uthaye. Sunan Abi dawud: jild 2, kitab Al-Salat (Namaz) 5, Hadees Nu. 1308 -) Huzur Jiske liye Raham ki Dua Farma De ALLAH Kabhi Un pr Apna Azaab Naazil nahi Karega Unke Sirf Ek hi Thikana hai aur wo hai Jannatul Firdaus. Kyun ke Paani Chhidakne se wo Jaag Jayega aur Namaz ada karega to wo bhi Sawaab ki Mustahik hogi. Musalman ki Muhabbat / Rishtedaari/Dosti ka matlab Ye Nahi hai ki Uske Sath Sirf Apni Duniyawi Zindagi Guzaari Jaaye Balki Khud bhi Naik Kaam Kare aur Usko bhi Naik Kaamo me Lagakar Hamesha Hamesha ke Liye Apna Jannati Sathi Banaya Jaaye. Saqib Raza Mustafai Sahab Farmate hai Ki Kisi se bh...

Musalmanom Ki Kamzori aur Bebasi Ki Asali Wajah

Image
Rasulullah sallallaho wale vasllam ne Farmaya Kareeb hai ki Dusri Qaume Tum pr Is Tarah Tut Padhegi jaise Bhukhe dastarkhan ki taraf Lapakte Hain Sahaba ne Sawal kiya :- Kya ye is Wajah se Hoga ki Hamari Tadad kam Hogi.  Аар sallallaho wale vasllam ne Farmaya Nahin Tum us Waqt Tadad me bahut Zyada Honge, Magar Tum Sailaab ke Jhaag ke Maanind Be-Haisiyat ho Jaoge: Tumhare Dushman Ke Dil Se Tumhara Roab nikal Jayega aur Tumhare Dil Me vahan dakhil ho jayega. Sahaba ne Sawal kiya :- Vahan kya chij hai ? Aap sallallaho wale vasllam ne Farmaya  Duniya Ki Muhabbat aur Maut Se Karahat. Sunan Abi Dawud Aaj na shahadat ki tamanna rahi na wo sab kuch qurban karne ki chahat Aai rahi to burst duniya ki Mohabbat rahi . Jab Tak ye ummat jihad ki taraf wapas nhi Aayegi koi iski halat nhi badal skta Halat badalna hai to Nikalo is khatm ho Jane wali duniya ko Dil se aur Puri tarah Deen ki taraf wapas a jao aur koi nhi badal sakta ye halat. ye jab bhi badlegi Rasulullah Deen se hi badlegi Aur r...

Raaste Ka Huq // hadees sharif in hindi

Image
Rasulullah ne Farmaya: "Raaston pr Baithne se Bacho! Sahaba ne Arz kiya: Yaa Rasulullah ! Hamari ye majlis to Bahut zaruri hai, hum wahi Roz-Marrah ki guftgu kiya karte hai, To Aapne Farmaya ke achha jab tum in majlison me baithna hi chahte ho to raste ka haq ada kiya karo yaani raste kouska haq do, Sahaba ne arz kiya Rastay ka haq kya hai Yaa Rasulullah. Is pr Aap ne Farmaya (ghair Mehram aurton ko dekhne se ) nazar neechi akhna, aane jane walon ko na satana, salam ka jawab dena, bhalai ka hukm dena aur buraai se rokna. Bukhari sharif: jild-8, kitab Al isti'dhan 79, Hadees Nu. 6229 Post ko Share Jarur Kare

Naya Saal Ki Mubarak Baad Dena Aur 31st Night Manana Kaisa Hai 2022

Image
Ye baat Zehan nasheen kr lena chahiye ke islam me hr woh kaam jayez hai jis ke mualliq islam me koi waad o waeed na ayi ho ya mazammat na ki gyi ho.  Islam me naye saal ki Mubarak Baad Dena bila karahiyat jayez hai. Kyunki isse Maqsood ye hotan ke aap ka Aane wala saal behtar ho. Aur ye duaiya taur par wish Kiya jata hai. Lekin naye saal se phle 31st night me jo khurafaati Rusoomaat hote hai jaise nach, gaana, mard o aurat ka milna , zina kari, badkaari, badnigaahi, sharaab noshi, wagaira ye kaam Najayez o Haram hai. Hr Musalman ko isse bachna zaroori hai. Aaj kal hamare yaha ek galat riwaaj ko bht zyada furoog diya ja raha hai jo 31st December ko New Year ke Night pr manaya jata hai .Bahut Afsos ki baat hai ke hamare Aksar mlMusalman Bhai Bahan isme mulawwis hai. Kitne hi Musalman Naujawan (Ladke/Ladki) ko dekha jata hai ke club me apni Puri Puri raatein guzarte hai aur kaun sa aisa gunah hai jo is raat nahi kiya jata, apne nabiraba culture ko chofh kr Western culture ko Apna Bna ...

Nikaah kya karta hai

Image
Nikaah Sharmgaah Ki Hifazat Karta Hai. Nikaah AMBIYA (Alaihi Salaam) Ki Behtarin Sunnat Hai.  HUZOOR-E-PAAK Farmate Hai, “Nikaah Gunaaho Se Bache Rehne Ka Behtarin Amal Hai Isliye Nikaah Karo.  NouJawano! Tum Me Se Jo Nikaah Ki Isteta'at Rakhta Hai, Wo Nikaah Kare Ye Ajnabi Aurat Ki Taraf Nigaah Ko Rokne wala & Sharmgaah Ki Hifazat Karne wala Hai. {Muslim Vol-1/Page-449 } NABI-E-AKRAMA Ne Farmaya, "Jisme Nikaah Karne Ki Isteta'at Na Ho Wo Roze Rakhe Isliye Ki Roza Shahwat Ko Todhta Hai”. Muslim Vol-1/Page-449 Nikaah Karo! Ye Nigaho Ko Jhukaata Hai Aur Sharmgah Ki Hifazat Karta Hai Aur Jise Iski Taqat Nahi To Wo Roze Rakhe. Bukhari Sharif Mas'ala : Ye Yaqeen Ho Ki Nikaah Na Karne Me Zinaa (Chahe kisi Na mehram ki marzi se yaa marzi ke khilaaf Zinaa Zinaa hai aur ye Sakht Haraam hai) Ho Jayega Toh Farz Hai Ki Nikaah Kare { Durr-E-Mukhtar } Baraye Karam is Paigaam ko Share Kijiye. is ALLAH Aapko iskant Ajar-e-Azeem Jarur Dega. (Aamin)

Hadees se nabi // Rasulullah mene Farmaya: "Jis cheez me bhi Be-Hayai

Image
Rasulullah Ne Farmaya: "Jis cheez me bhi Be-Hayai aati hai use Aib daar kar deti hai aur jis cheez me Haya aati hai use Zeenat Bakhshti hai". Jaam e Tirmizi: jild 4, kitab Al Kabir wa as silah 27, Hadees Nu. 1974 Islam me Haya pr bahut zor diya gaya hai, aur Haya wali Taalimaat ko barre ehtimaam se bayan kiya gaya hai, aur jo Cheeze Be-Hayai ko Farogh dene wali hongi, aur Jo log Be-Hayai ko Failane ki koshish karenge unke liye Sakht Wa'eed bayan ki hai. Haya ko insaan ka Qeemti Zewar qarar diya gaya hai, Haya Insaan ke naik aur Paakbaaz aur Sa'adat-mand hone ki Alamat hai. Nabi-e-Kareem  Farmaya: Haya Imaan se hai aur Imaan ka badla Jannat hai, Fahashgoi zulm hai jiska badla Jahannam hai (ibne majah: 4184]. Ek Dusri hadees me Aap ne farmaya: Tum me do (2) khaslatein jo ALLAH Taala ko mehboob hai; ek Sabr aur dusri Haya   [ ibne  m ajah: 4188]. Aur jo log Behayai ko Farogh dene ki Koshish karte hai Unke Baare me Quran kareem me Sakht Wa'eed bayan Farmayi hai;  Jo l...

Badi Masjid Aur Kum Namazi

Image
Hazrate Sayyiduna Anas Radiallaho Ta'ala Anho Bayaan Karte Hain Ke Nabiye Kareem Ne Irshad Farmaya: Logon Par Ek Aisa Bhi Zamana Aayega Ke, Jab Wo Masajid Ki Tameer Me Ek Dusre Ke Saamne Fakhr Ka Izhar Karenge Aur Un Me Se Thode Log Inhein (Masajid Ko Namazo Se) Aabad Karenge, Huzoor Ne Jo Kuchh Farmaya Wo Harf Ba Harf Haque Hai Aur Aaj Hum Apni Aankho Se Iska Mushahida Kar Rahe Hain, Aalishan Masajid Tameer Kar Di Gayi Hain, Ek Martaba Me Hazaaro Balki Kahin Kahin Laakho 1 Loq Namaz Ada Kar Sakte Hain Lekin Namaz Padhne Waale Gine Chune Log Hain, Fajar Ki Namaz Me Baaz Maqamat Par Kabhi Kabhar Aisa Bhi Hota Hai Ke Imam autetaan Aur Moazzin Ke Ilawa Teesra Koi Nahin Pahunchta, Masajid Ki Tameer Mein Ek Dusre Ke Saamne Fakhr Ka Izhar To Yun Kiya Jaata Hai Jaise Isi Ke Mutabiq Humein Aakhirat Me Aala Darja Diya Jaana Hai, ALLAH Ta'ala Humein Masajid Ko Aabad karne ki toufique ata farmaye (Ameen)  Post ko Share Jarur Kare #aboutmasjidalaqsa #aboutmasjidalharam #aboutmasjidnabawi #...

Ise Kehte Hai Dosti ( Friends)

Image
  Imam Ghazali Rahi- mahullahu Ta'ala Likhte Hain Ke Ek Shakhs Apne Dost Ke Paas Gaya Aur Us Ka Darwaza Khatkhataya, Dost Ne Puchha Ke Kaise Aana Hua? Us Ne Kaha Ke Mujh Par 400 Dirham Qarz Hain...., Dost Ne 400 Dirham Is Ke Hawale Kar Diye Aur Rota Hua (Ghar Ke Andar) Waapas Aaya! Biwi Ne Kaha Ke Agar Dirhamo Se Tujhe Itni Muhabbat Thi To Diye Kyun? Us Ne Kaha Ke Main To Is Liye Ro Raha Hoon Ke Mujhe Apne Dost Ka Haal Us Ke Bataye Bighair Kyun Na Maloom Ho Saka Hatta Ke Wo Mera Darwaza Khatkhatane Par Majboor Ho Gaya. Imam Ghazali Mazeed Likhte Hain Ke Dosti Ko Nikah Ke Talluq Ki oh Tasawwur Karne Chahiye Kyunki Is Mein Bhi Huqooq Hain. Jo Cheez Zaroorat Aur Haa- jat Se Zaayid Ho Use Bina Maange Apne Dost Ko De De, Agar Use Maangne Aur Kehne Ki Naubat Aaye To Ye Dosti Ke Darje Se Kharij Hai! (ملخصا: کیمیائے سعادت، اردو، ص 291)  Dosti Sirf Time Pass Karne Ka Khilauna Nahin Hai Ke Jab Jee Chaha Khela Aur Zaroorat Poori Hone Par Phenk Diya Balki Ye Ek Bahut Pyara Rishta Hai. Is ...

Saza ka Zaika (Taste) by sahana khan Islamic

Image
Baadshah E Kisra Ne Apne Bete Ke liye Ek Ustaad Mukarrar Kiya Jo Use Taalim Deta Tha Aur Adab waar Sikhata Tha, Jab Wo Baccha Mukammal Taur pr Ilm w Fazl Se Maala Maal Ho gaya. To Ustaad Ne Use Bulaya Aur Bagair Kisi Zurm Aur Bagair Kisi Sabab Ke Use Intehaai Dardnaak Saza Di. Us Ladke Ne Apne Ustaad Ke Is Rawaiyye Ko Bahut Bura Samjha Aur Dil me Uski Taraf Se Adawat Paida Ho gayi, aur Usne Thaan liya ki ek na ek din is Baat ka Badla Jarur Lunga. Isi Soch ke Sath Wo Jawaan Ho gaya, Fir Ek Din Uska Baap Margaya Aur Wo Baadshah Bangaya! Baadshahi Sambhalte Hi Usne Ustaad Ko Bulaker Pucha Aapne Fala Din Bagair Kisi Zurm Aur Bagair Kisi Sabab Mujhe Intehayi Dardnaak Saza Kyon Di Thi? Ustaad Ne Kaha Aye Baadshah! Jab Tu Ilm w Fazl ke Kamaal Tak Pahunch Gaya To Mujhe Malum Hogaya Ki Baap Ke Baad Tu Baadshah Banega, Maine Socha Tujhe Saza Ka Zaika (Lazzat) Aur Zulm Ki Taklif Se Pehchan Karadoon Taaki Tu Uske Baad Kisi Per Zulm Na Kare, Baadshah Ne Kaha, ALLAH-TA'AALA Aapko Jaza-A-Khair De...

Allah ke inaam // sahana khan Islamic

Image
Ek Aarif Ne Ek Magroor Shakhs Ko Ghodhe (Horse) Pr Sawaar Dekhker Taajjub Se Pucha, Bhai! Itna Kyon Akadte Ho? Usne Kaha Ki Main Baadshah Ka Khaas Aadmi Hoon! Wo Sota Hai To Pehra Deta Hoon, Use Bhook Lagti Hain To Khana Mai Khilata Hoon, Pyaas Lagti Hai To Pani Pilata Hoon Aur Mujhe Din 3 Bar Pyaar Se Dekhta Hain! Aarif Ne Pucha Ki Aur Agar Tum Se Kisi Baat Per Khataa (Naraaz, Galti) Ho Jaye To Kya Hota Hain? Wo Bola, Kode Lagte Hain Aur Maara Jata Hoon! Aarif Ne Farmaya, Agar Ye Baat Hain To Mujhe Tumse Zyada Naaz w Fakhr Hona Chahiye, Kyonki Main Jis Baadshah Raganmunan Wo Mujhe Khud Khilata- Pilata Hain, So jaoun To Meri Hifazat Karta Hain Aarif Ne Farmaya, Agar Ye Baat Hain To Mujhe Tumse Zyada Naaz w Fakhr Hona Chahiye, Kyonki Main Jis Baadshah Ka Gulam Hoon Wo Mujhe Khud Khilata- Pilata Hain, So jaoun To Meri Hifazat Karta Hain Aur Tanhayi Me Monis (Humdam, Sathi) Banjata Hain Mujhse Koi Gaflat Ya Khataa Ho jaye To Muaf Bhi Kr deta Hai Aur Hr Roz Din Me 360 Martaba Nazr-A-Rehmat...

Nikaah ke Fazail part2 // by sahana khan Islamic

Image
Rasulullah ne Farmaya :- Jo Mard Kisi Aurat se uski izzat (Bade Naam) ke Sabab Nikaah Kare, ALLAH Ta'ala Uske Jillata Zyadati Karega aur Jo Kisi Aurat Se Uske maal (Daulat) ke Sabab Nikaah Karega to ALLAH Ta'ala uski Mohtaaji Badhayega. me Zvadati dal aur jo Uske Hasab (Bade Khandan) ke Sabab Nikaah Karega to Uske Kaminepn me Zyadati farmayega aur Jo isliye Nikaah Kare Ki idhar-udhar nigaah na Uthe aur Paakdamni Hasil ho Ya Shila Rahami Karen to ALLAH Ta'ala us mard ke liye us Aurat me Barkat Dega aur Us Aurat ke liye Mard me. Hazrat Muaz bin Jabal se Riwayat hai ki Aapne Farmaya : Saahibe Nikaah (Jiska Nikaah Ho gya hai) ki Namaz Bina Nikaah Wale Ki Namaj Se 40 Yaa 70 Guna Jyada Afzal Hai. Rasulullah ne Farmaya :- Jo Gurbat (Garibi) ke Sabab Nikaah Na Karen wo Humme se Nahin. Yahan tk ki ALLAH Ta'ala Farishton Ko Huqm Farmata Hai Ki iski Peshani pr Likh Do Ki aye Sunnat e Rasool ko Chodhne wale Tujhe Killate Rizk ki Basharat ho. Rasulullah ne Farmaya :- Jab tum me se k...

Nikaah ke Fazail // by sahana khan Islamic

Image
Khaliq-e-Kaaynat ne Mard w Aurat ke Darmiyaan Ek dusre Ki Muhabbat Se Sukun Hasil karne aur Lutf Andoz hone ki jo Khwahish Rakhi hai uska naam Jima'aa (sex) hai. Is Khwahish ko pura karne ke liye shariyat-e-Islami Ne Nikaah Ka Tarika bataya Hai. Nikah ke Bagair Kisi Aurat se Jima'aa Karna jisura manuala mama Haraam hai aur Jahannum me le Jaane wala Amal hai. Nikaah Huzur ki Nihayat Aham Sunnat hai. Nikaah aapas me Uns-o-Muhabbat ikhlas, Hamdardi Paida hone ka sabab hai. Nikah se Do Ajnabi Afraad Rishta e Munsalik ho Jaate Hai aur ek dusre ke sacche Hamdard aur Zindagi Bhar Ke Liye Shareek-e-Hayat Ban Jaate Hai. ALLAH Ta'ala Quran me Farmata hai :- To Nikah me lao wo Aurate Jo isimeto mogurale do Tumhen Khush (Pasand) Aaye. Aur ALLAH ne Tumhare Liye Tumhare Jins se Aurate Banai aur Tumhare ive Tumhari Auraton se Liye Bete aur Pote aur Nawase Paida kiye. Huzurne Farmaya :- Ek Musalmaan ke Paas Imaan ke Baad Agar inachau un Dusri koi Sabse Zyada Kimati Chiz hai to wo hai Naik ...

Duniya ki Haisiyat // by sahana khan Islamic

Image
Ek Baadshah Ne Kisi ALLAH Wale Ko Apne Mahel Ke Saaye me Bitha Diya! Jisne Sukha Tukda Pani me Daal Kr Khaya! Fir Sogaya! Jab Utha To Baadshah Ne Use Bulwaya Aur Pucha, Jab Tune Paani Ke Sath Sukha Tukda Khaya Fir So gaya Tha, Kya Tu Apne Parwardigar Se Khush Tha? Usne Kaha, Haan! Lekin Mai Tujhe (Baadshah ko) Wo Shakhs Batlata hoo Jo Isse Bhi Kam Pr Khush Hogaya hai! Baadshah Ne Kaha Wo Kaun Hai? Usne Kaha Jo Aakhirat ke Badle Duniya Pr Khush Ho gaya! Ye Alfaaz Baadshah Pr Kaargar Hogaye Aur Wo Rone Laga! Ye Duniya Aakhirat Ke Muqable Me Roti Ke Ek Sukhe Tukde Se Bhi Kam Haisivat Rakhti Hai! Fir Jo Log Aakhirat Ko Bhoolaker Is Duniya Ke Piche Pade Hue Hain Kis-Qadr Be-Khaber Aur Nadaan Hain!  Post ko Share Jarur kare. Quran, Hadees, Sunnat & Islamic Lifestyle se Related Post ke liye Follow kare

उम्मत की मिसाल हदीस शरीफ || sahana khan Islamic

Image
  उम्मत की मिसाल हिंदी..  रसूल अल्लाह सल्लल्लाहो वसल्लम ने फरमाया मुसलमानों की एक दूसरे से मोहब्बत एक दूसरे के साथ रहम दिली और एक दूसरे की तरफ इल्तिफात ओ taawun ( प्यार और मदद) विशाल एक जिस्म की तरह है जब उस जिस्म के एक हिस्से को तकलीफ होती है तो बाकि का सारा जिसम बेचैन और बुखार के जरिए से सब आ जा (हिस्सा) को एक दूसरे के साथ मिला कर उसका साथ देता है. इस इरशद मुबारक से मुसलमानो के बहमी जोड़ व ताल्लूक. मोहब्बत व शफाकत और मेहरबानी के haqayiq मालूम होते हैं. लेकिन बे-हैसियत मजमुये एक जिस्म से Tashbidi गया है और उस के ज़रिए से wazeh फरमाया गाय के जिस तरह बदन का एक हिस्सा बीमार हो जाये तो सारे जिस्म पर उस का असर पड़ता है. Deegar Aazaye ( दूसरा हिस्सा) बदन भी बीमारी के इस असर को क़ुबूल करते हुए बेचेनी और बे-अरामी महसूस करने लगता है. अफसोस आज हम दूसरी हदीसों की तरह ही, इस हदीस को भी भुला बैठे जिसके नतीजे में हमारी आंखों के सामने कई इस्लाम मुल्कों को तबाह बर्बाद कर दिया गया और कई मुल्कों में हमारे मुसलमानों भाइयों और बहनों को जाने माली और इज्जत वह आबरू का नुकसान उठाना पड़ा English...

मेहमान नवाजी के क्या सुन्नत है || hadees sharif || sahana khan Islamic

Image
  मेहमान नवाजी नबी करीम ने फरमाया:  जो शक अल्लाह और  आखिरत के दिन पर ईमान  रखता हो अपने महमान   की इज्जत करना चाहिए। उस्की  ख़तीरदारी बस एक दिन और  रात की है, महमनी तीन  दिन और रातों की,  यानी पहले दिन अपने  हैसियत के मुताबिको  ख़ुशी एहतिमाम करे  और बाकी दो दिन में  बघैर तकल्लुफ़ और  एहतिमाम के महजीर  पेश करे।  इस्के इलावा जो भी खारछो  हो वो सदका है मेज़बान  के लिए, किसी महमान  के लिए जायज नहीं के वो  बिना उज़्र मेज़बान के यहाँ  ज़्यदा दिन थेरे और उपयोग  तांग करे।  उसके बाद जो हो वो सदक़ा  है और महमान के लिए  जायेज नहीं के वो अपने  मेज़बान के पास इतने दिन  थेर जाए के तंग  कर डाले।   सही बुखारी: जिल्ड 8, किताबो  अल-अदाब 85, हदीस नू। 6135   पोस्ट को शेयर करें जरूर करें।  कुरान, हदीस, सुन्नत और  इस्लामी जीवन शैली से  यक  संबंधित पोस्ट के  लिए फॉलो करे English Nabi kareem ne Farmaya: Jo Shakhs ALLAH aur Aak...

आओ इल्म में ईज़ाफा करें आओ दनिया वा आखिरत सवारें || hadees hindi english taxt and image || sahana khan Islamic

Image
 आओ इल्म में ईज़ाफा करें आओ दनिया वा आखिरत सवारें हुजूर नबी-ए करीम ने इरशाद फ़रमाया कि जो शख़्स बीमार को देखने जाता है तो आसमान मे एक पुकारने वाला पुकारता है कि तू अच्छा है और तेरा चलना अच्छा और जन्नत की एक मन्ज़िल को तूने (अपना) ठिकाना बना लिया...। English.,,  Come increase in knowledge, come ride on the world or the Hereafter  Huzoor Nabi-e Karim  said that  Whoever goes to see the sick, the sky  I have a caller calls that you are good  and your walk is good and one of paradise  You have made Manzil (your) abode…. आओ इल्म में ईज़ाफा करें आओ दुनिया वा आखिरत सवारें हुजूर सय्यदे आलम इरशाद फ़रमाते हैं अल्लाह तआला ने मेरे लिए ज़मीन समेट दी है और मैंने ज़मीन के मशरीकी और मग़रिबी ऐतीराफ़ ( किनारा ) को देख लिया । ( मुस्लिम शरीफ़, जिल्द 2 . सफ़ा 390 ) English.।।।।  Let's increase in knowledge, come ride on the world or the hereafter  Huzur Sayyed Alam  Irshad says  allah taala  has covered the land for me  And I've done the ...