Namaz Aur Shaitaan /hadees sharif


Ek Shakhs kahin Ja Raha

tha Shaitan bhi uske Sath ho

gaya, Raaste me us Shakhs

ne na to Fajr Adaa ki na

Zuhar na Asar na Maghrib

aur na hi Isha Yaani ki ek

bhi namaz nahi Padhi aur

Sone Laga. To Shaitan bola ki mai chalta

hu, Ispar wo bola kyun to

Shaitan bola ki Maine sirf 1

Sajda nahin kiya tha wo bhi

Hazrat Aadam Alaihissalam

ko to Mujhpar itni laanate

utri ki jiska Hisaab lagaana

bhi mushkil hai.Aur tune to 1 bhi Sajda nahi

kiya wo bhi Khudaye zul

jalaal ko to mai darta hoon

ki tujhpar kis qadr dardnaak

Azaab Naazil ho sakta hai

isliye main darta hu aur Tere

Saath nahi Rahna chahta.

Durratun Naseheen,Safah 286

Halanki ek Musalman shaitan

ke barabar hargiz nahi ho sakta

kyunki wo Mal'un Be-imaan hai

aur Musalman Imaan wala hai

magar ye Namaz ki ahmiyat ki

Daleel hai ki Namaz Chhodhna

kis Qadar Azaab ka Baa'is hai ki

Shaitan Mal'un bhi us Shakhs

se Panaah maangta hai jo

Namaz nahi Padhta. Namaz hi wo ibaadat hai ki kisi

Surat Maaf nahin warna Hajj

saahibe isteta'at (Daulat) nahi to

maaf hai, Roza musafir wa Za-

yeef (zyada umar wale buzurg)

wa Bahut si Bimariyon me maaf

hai zakaat Saahibe Nisaab par

Farz hai aur saahibe Nisaab

nahin to Zakaat maaf hai. Magar Namaz hr Haal me

padhni hogi, khade hokar

nahin padh sakta to baith kar

padhe baith kar nahin padh

sakta to let kar padhe ishaare

se padhe Wuzu nahin kar

sakta to tayammum karke

padhe, Matlab ye ki hr Haal

me padhna hai. Fuqha farmate hain ki

“Jahannam me ek Waadi

hai Jiska Naam wail hai

uski Garmi ka ye Haal hai ki

usse Jahannam bhi Panaah

maangta hai usme Be-namazi

daale jayenge”.


Post ko Share Jarur Kare.

ALLAH se Dua hai ki wo

Hume Namazi Banaye

aur Humari Namazo ko

Apni Baargaah me Qubul

Farmaye (Aameen)

Comments

Popular posts from this blog

आओ इल्म में ईज़ाफा करें आओ दनिया वा आखिरत सवारें || hadees hindi english taxt and image || sahana khan Islamic

उम्मत की मिसाल हदीस शरीफ || sahana khan Islamic

Duniya ki Haisiyat // by sahana khan Islamic