Posts

Showing posts with the label Quran

Accha Bolo Yaa Fir Chup Raho

Image
Huzur ne Farmaya: "Jo shakhs ALLAH aur Yaum e Aakhirat pr Imaan rakhta ho to use Chahiye ke wo Apne Mehmaan ki izzat kare, aur Jo ALLAH aur yaum e Aakhirat pr imaan rakhta ho to use chahiye ke wo achhi bhali baat kahe va Khamosh rahe". Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-qiyamah wa ar-riqaq wa al-wara 37, Hadees Nu. 2500 Malum hua ke Bolne se Pehle Bolne wala khub soch samajh le tab bole, yaa fir Khamosh hi rahe to Behtar hai, kahi aisa naa ho ke bhali baat bhi ulta Nuqsaan deh ho jaye.  Mehmaan ke aane par uska achhe Akhlaaq w Andaaz ke Saath isteqbaal karna, use Khush Aamdeed kehna (khatir-dari me kisi tarah ki kami naa hone dena, (salaam karna) aur uski.  Mehmaan ka jaiza (khusoosi aezaz wa Ikram) ek din ek raat hai, aur mehmaani 3 din 3 raat hai aur mehmaan ke liye yeh baat jayez nahi ke woh itna taweel qiyam kare ke jis se mezbaan mushaqqat me padh jaye. [Muslim: 639 ) Post ko Share Jarur kare. Quran, Hadees, Sunnat & Post liye Follow kare

Un Pr Jahannum Ki Aag Haraam Hai

Image
Nabi kareem ne Farmaya: Kya main tumhe aise logon ki khabar naa du jo Jahannum ki aag pr aur Jahannum ki aag un par Haraam hai? jahannum ki aag logon ke Qareeb Rahne wale, Aasani karne wale, aur Naram Akhlaq wale pr Haraam hai. Jamiat Tirmizi: jild 4, kitab sifat Al Qiyamah wa ar riqaq wa al wara 37, Hadees Nu. 2488 Yaani jo Apne Husn-e-Akhlaq aur Husn muamle se Logo ke dilon me aur Duniyawi muamlat me Dusron ke saath Aasani, Narmi, Tawaze, aur Khush Akhalaq tarz Apnane wala hai, iske liye Jahannum ki Aag Haraam hai. Ek hadees me Nabi kareem un ne farmaya: Qayamat ke din bande i ke Mizaan (tarazu) me sab se Bhari Chiz Husn-e-Akhlaq hoga [ Tirmizi: 2002). Quran, Hadees, Sunnat & Islamic Lifestyle se Related Post Dekhne ki Liye Follow karet & Post ko Share Kare

Namaz Aur Shaitaan /hadees sharif

Image
Ek Shakhs kahin Ja Raha tha Shaitan bhi uske Sath ho gaya, Raaste me us Shakhs ne na to Fajr Adaa ki na Zuhar na Asar na Maghrib aur na hi Isha Yaani ki ek bhi namaz nahi Padhi aur Sone Laga. To Shaitan bola ki mai chalta hu, Ispar wo bola kyun to Shaitan bola ki Maine sirf 1 Sajda nahin kiya tha wo bhi Hazrat Aadam Alaihissalam ko to Mujhpar itni laanate utri ki jiska Hisaab lagaana bhi mushkil hai.Aur tune to 1 bhi Sajda nahi kiya wo bhi Khudaye zul jalaal ko to mai darta hoon ki tujhpar kis qadr dardnaak Azaab Naazil ho sakta hai isliye main darta hu aur Tere Saath nahi Rahna chahta. Durratun Naseheen,Safah 286 Halanki ek Musalman shaitan ke barabar hargiz nahi ho sakta kyunki wo Mal'un Be-imaan hai aur Musalman Imaan wala hai magar ye Namaz ki ahmiyat ki Daleel hai ki Namaz Chhodhna kis Qadar Azaab ka Baa'is hai ki Shaitan Mal'un bhi us Shakhs se Panaah maangta hai jo Namaz nahi Padhta. Namaz hi wo ibaadat hai ki kisi Surat Maaf nahin warna Hajj saahibe isteta'at (D...

Dajjal se bhi khatarnaak fitna

Image
Nabi kareem ne Farmaya: kya main tum ko aisi Cheez ke bare me naa bata dun jo Mere Nazdeek Maseeh Dajjal se bhi Zyada khatarnaak hai? Sahaba ne arz kiya: Farmaiye Yaa Rasulullah ? Aap ne farmaya: wo posheeda (chhupa hua) shirk hai. Jo ye hai ke Aadmi Namaz padhne khada hota to apni namaz ko sirf is wajah se khubsurati se ada karta hai ke koi (bagal wala) Aadmi use dekh raha hai. Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az Zuhd 37, Hadees Nu. 4204. *Grade Sahih* Maseeh Dajjal ka maamla to wazeh hai jise Nabi Kareem ne khol kar (Saaf Alfaaz me) Bayan farma diya hai (aur isse bachna asaan hai) Lekin Riya (dikhawa) Aam Taur pr dil me is tarha paida hoti hai ke ye insaan ko Aahista Aahista ALLAH Ta'ala ki bajaye Logon ki taraf mutwajjah kar deti hai.  (aur is se bachna intahi mushkil hai) is liye nabi kareem binne ise fitna-e-Dajjal se bhi Zyada khoufnaak aur shirk khafi (chhupa hua) qarar diya hai. Rasulullah Subtitne Farmaya: Main tumhare baare me sab se Zyada jis cheez se darta hu wo Chhota s...

Musalmanom Ki Kamzori aur Bebasi Ki Asali Wajah

Image
Rasulullah sallallaho wale vasllam ne Farmaya Kareeb hai ki Dusri Qaume Tum pr Is Tarah Tut Padhegi jaise Bhukhe dastarkhan ki taraf Lapakte Hain Sahaba ne Sawal kiya :- Kya ye is Wajah se Hoga ki Hamari Tadad kam Hogi.  Аар sallallaho wale vasllam ne Farmaya Nahin Tum us Waqt Tadad me bahut Zyada Honge, Magar Tum Sailaab ke Jhaag ke Maanind Be-Haisiyat ho Jaoge: Tumhare Dushman Ke Dil Se Tumhara Roab nikal Jayega aur Tumhare Dil Me vahan dakhil ho jayega. Sahaba ne Sawal kiya :- Vahan kya chij hai ? Aap sallallaho wale vasllam ne Farmaya  Duniya Ki Muhabbat aur Maut Se Karahat. Sunan Abi Dawud Aaj na shahadat ki tamanna rahi na wo sab kuch qurban karne ki chahat Aai rahi to burst duniya ki Mohabbat rahi . Jab Tak ye ummat jihad ki taraf wapas nhi Aayegi koi iski halat nhi badal skta Halat badalna hai to Nikalo is khatm ho Jane wali duniya ko Dil se aur Puri tarah Deen ki taraf wapas a jao aur koi nhi badal sakta ye halat. ye jab bhi badlegi Rasulullah Deen se hi badlegi Aur r...

Raaste Ka Huq // hadees sharif in hindi

Image
Rasulullah ne Farmaya: "Raaston pr Baithne se Bacho! Sahaba ne Arz kiya: Yaa Rasulullah ! Hamari ye majlis to Bahut zaruri hai, hum wahi Roz-Marrah ki guftgu kiya karte hai, To Aapne Farmaya ke achha jab tum in majlison me baithna hi chahte ho to raste ka haq ada kiya karo yaani raste kouska haq do, Sahaba ne arz kiya Rastay ka haq kya hai Yaa Rasulullah. Is pr Aap ne Farmaya (ghair Mehram aurton ko dekhne se ) nazar neechi akhna, aane jane walon ko na satana, salam ka jawab dena, bhalai ka hukm dena aur buraai se rokna. Bukhari sharif: jild-8, kitab Al isti'dhan 79, Hadees Nu. 6229 Post ko Share Jarur Kare

Nikaah kya karta hai

Image
Nikaah Sharmgaah Ki Hifazat Karta Hai. Nikaah AMBIYA (Alaihi Salaam) Ki Behtarin Sunnat Hai.  HUZOOR-E-PAAK Farmate Hai, “Nikaah Gunaaho Se Bache Rehne Ka Behtarin Amal Hai Isliye Nikaah Karo.  NouJawano! Tum Me Se Jo Nikaah Ki Isteta'at Rakhta Hai, Wo Nikaah Kare Ye Ajnabi Aurat Ki Taraf Nigaah Ko Rokne wala & Sharmgaah Ki Hifazat Karne wala Hai. {Muslim Vol-1/Page-449 } NABI-E-AKRAMA Ne Farmaya, "Jisme Nikaah Karne Ki Isteta'at Na Ho Wo Roze Rakhe Isliye Ki Roza Shahwat Ko Todhta Hai”. Muslim Vol-1/Page-449 Nikaah Karo! Ye Nigaho Ko Jhukaata Hai Aur Sharmgah Ki Hifazat Karta Hai Aur Jise Iski Taqat Nahi To Wo Roze Rakhe. Bukhari Sharif Mas'ala : Ye Yaqeen Ho Ki Nikaah Na Karne Me Zinaa (Chahe kisi Na mehram ki marzi se yaa marzi ke khilaaf Zinaa Zinaa hai aur ye Sakht Haraam hai) Ho Jayega Toh Farz Hai Ki Nikaah Kare { Durr-E-Mukhtar } Baraye Karam is Paigaam ko Share Kijiye. is ALLAH Aapko iskant Ajar-e-Azeem Jarur Dega. (Aamin)

जुम्मा की फाजिलत // December 31, 2021

Image
  हिन्दी. ऐ ईमान वालो! जब "जुमा" के दिन नमाज़ के लिए अज़ान दी जाए तो अल्लाह के ज़िक्र (नमाज़ ) की तरफ़ तेज़ी से आ जाओ और खरीद और फ़रोख़्त ( कारोबार) छोड़ दो तुम्हारे लिए यही बात बेहतर है अगर तुम इल्म रखते हो फिर जब "नमाज़" अदा हो जाए तो ज़मीन में मुन्ताशिर हो जाओ (यानी चलो फ़िरो) और अल्लाह का फ़ज़ल (यानी रिज़क़) तलाश करो और अल्लाह को बहुत याद करो ताकि तुम फ़लाह पाओ (सूरह जुमा : आयत नं. 9 और 10 ) A imaan walo.  Jab "Jumma" Ke din namaz ke liye azaan di jaye to ALLAH ke jikr (Namaz) ki taraf teji se aa jao our kharid our farokht (karobar) chod do tumhare liye yahi baat bahtar hai. Agar tum ilam rakhte ho fir jab (Namaz) Adda ho jaye to jameen mai muntashir ho jao (Yaani chalo firo) our ALLAH ka fazal (Yaani Rizq) Talash karo our ALLAH ko bahut Yaad karo taqi tum fal pao.  (Surah jumma:  Ayat no. 9 our 10)  English.  O believers! When azaan is given for prayer on the day of 'Juma', then Allah come fast to the zikr (namaz) and buy ...

Hadees se nabi // Rasulullah mene Farmaya: "Jis cheez me bhi Be-Hayai

Image
Rasulullah Ne Farmaya: "Jis cheez me bhi Be-Hayai aati hai use Aib daar kar deti hai aur jis cheez me Haya aati hai use Zeenat Bakhshti hai". Jaam e Tirmizi: jild 4, kitab Al Kabir wa as silah 27, Hadees Nu. 1974 Islam me Haya pr bahut zor diya gaya hai, aur Haya wali Taalimaat ko barre ehtimaam se bayan kiya gaya hai, aur jo Cheeze Be-Hayai ko Farogh dene wali hongi, aur Jo log Be-Hayai ko Failane ki koshish karenge unke liye Sakht Wa'eed bayan ki hai. Haya ko insaan ka Qeemti Zewar qarar diya gaya hai, Haya Insaan ke naik aur Paakbaaz aur Sa'adat-mand hone ki Alamat hai. Nabi-e-Kareem  Farmaya: Haya Imaan se hai aur Imaan ka badla Jannat hai, Fahashgoi zulm hai jiska badla Jahannam hai (ibne majah: 4184]. Ek Dusri hadees me Aap ne farmaya: Tum me do (2) khaslatein jo ALLAH Taala ko mehboob hai; ek Sabr aur dusri Haya   [ ibne  m ajah: 4188]. Aur jo log Behayai ko Farogh dene ki Koshish karte hai Unke Baare me Quran kareem me Sakht Wa'eed bayan Farmayi hai;  Jo l...