Un Shauhar -Biwi pr Raham Farmaye
Rasulullah ne Farmaya: ALLAH us Shakhs pr Raham Farmaye jo Raat ko uthe aur Namaz Parhe aur Apni Biwi ko bhi Bedaar kare (Jagaaye), Agar wo naa uthe to Uske Chehre pr paani ke Chheente maarkr use Namaz ke liye Uthaye, ALLAH us Aurat pr bhi Raham farmaye jo Raat ko uth kar Namaz Parhe aur Apne Shohar ko bhi jagaaye, Agar wo na uthe to Uske chehre pr Paani ke Chheente maarkr Namaz ke liye Uthaye. Sunan Abi dawud: jild 2, kitab Al-Salat (Namaz) 5, Hadees Nu. 1308 -) Huzur Jiske liye Raham ki Dua Farma De ALLAH Kabhi Un pr Apna Azaab Naazil nahi Karega Unke Sirf Ek hi Thikana hai aur wo hai Jannatul Firdaus. Kyun ke Paani Chhidakne se wo Jaag Jayega aur Namaz ada karega to wo bhi Sawaab ki Mustahik hogi. Musalman ki Muhabbat / Rishtedaari/Dosti ka matlab Ye Nahi hai ki Uske Sath Sirf Apni Duniyawi Zindagi Guzaari Jaaye Balki Khud bhi Naik Kaam Kare aur Usko bhi Naik Kaamo me Lagakar Hamesha Hamesha ke Liye Apna Jannati Sathi Banaya Jaaye. Saqib Raza Mustafai Sahab Farmate hai Ki Kisi se bh...