Un Shauhar -Biwi pr Raham Farmaye
Rasulullah ne Farmaya:
ALLAH us Shakhs pr
Raham Farmaye jo Raat ko
uthe aur Namaz Parhe aur
Apni Biwi ko bhi Bedaar kare
(Jagaaye), Agar wo naa uthe
to Uske Chehre pr paani ke
Chheente maarkr use Namaz
ke liye Uthaye,
ALLAH us Aurat pr bhi
Raham farmaye jo Raat ko
uth kar Namaz Parhe aur
Apne Shohar ko bhi jagaaye,
Agar wo na uthe to Uske
chehre pr Paani ke Chheente
maarkr Namaz ke liye
Uthaye.
Sunan Abi dawud: jild 2,
kitab Al-Salat (Namaz) 5,
Hadees Nu. 1308
-)
Huzur Jiske liye Raham
ki Dua Farma De ALLAH
Kabhi Un pr Apna Azaab
Naazil nahi Karega Unke
Sirf Ek hi Thikana hai aur
wo hai Jannatul Firdaus.
Kyun ke Paani
Chhidakne se wo Jaag
Jayega aur Namaz ada
karega to wo bhi Sawaab
ki Mustahik hogi.
Musalman ki Muhabbat /
Rishtedaari/Dosti ka matlab
Ye Nahi hai ki Uske Sath
Sirf Apni Duniyawi Zindagi
Guzaari Jaaye Balki Khud bhi
Naik Kaam Kare aur Usko
bhi Naik Kaamo me Lagakar
Hamesha Hamesha ke Liye
Apna Jannati Sathi Banaya
Jaaye.
Saqib Raza Mustafai Sahab
Farmate hai Ki Kisi se bhi
Muhabbat/ Dosti Ya Kisi bhi
Rishte ka Asal Usool ye Hona
Chahiye ki Uski Aakhirat me
Kaamyaabi Ki Fiqr ki Jaaye.
al Usool ke Horn
Comments
Post a Comment