Naya Saal Ki Mubarak Baad Dena Aur 31st Night Manana Kaisa Hai 2022
Ye baat Zehan nasheen kr
lena chahiye ke islam me
hr woh kaam jayez hai jis
ke mualliq islam me koi
waad o waeed na ayi ho ya
mazammat na ki gyi ho.
Islam me naye saal ki
Mubarak Baad Dena bila
karahiyat jayez hai. Kyunki
isse Maqsood ye hotan
ke aap ka Aane wala saal
behtar ho. Aur ye duaiya
taur par wish Kiya jata hai.
Lekin naye saal se phle
31st night me jo khurafaati
Rusoomaat hote hai jaise
nach, gaana, mard o aurat ka
milna , zina kari, badkaari,
badnigaahi, sharaab noshi,
wagaira ye kaam Najayez o
Haram hai. Hr Musalman ko
isse bachna zaroori hai.
Aaj kal hamare yaha ek
galat riwaaj ko bht zyada
furoog diya ja raha hai jo
31st December ko New Year
ke Night pr manaya jata
hai .Bahut Afsos ki baat hai ke
hamare Aksar mlMusalman
Bhai Bahan isme mulawwis
hai. Kitne hi Musalman Naujawan
(Ladke/Ladki) ko dekha jata
hai ke club me apni Puri Puri
raatein guzarte hai aur kaun sa
aisa gunah hai jo is raat nahi
kiya jata, apne nabiraba
culture ko chofh kr Western
culture ko Apna Bna baithe hai
jisme barbadi ke aAawa kuch
nahi. Is ke alawa Gunahon me
mulawwis ho kar Croro rupaye
kharch karte hai. Jisse maal
galat kaam me kharch karte
hai to is baat ka unhe is baat ko
yaad kar lena chahiye ke kal
baroz e Qayamat hr ek ek zarre
ka unhe hisab dena hai ALLAH
ki Adalat me khade ho kr.
ALLAH ne hame Zindagi ka
bahut pyara nizam ata farmaya
jis ke zariye hr ek amaan me
rahta hai izzat w abru mahfooz
rahti hai. Hame chahiye ke
islam ke pyare nizam ko
mazbooti se tham le aur Apne
deen o Imaan ki hifazat karein.
Isse hame Darain me Nekbakhti
hasil hogi. ALLAH Kareem hame
har burai se mahfooz
farmaye. Aur islam ke
nizam par hamesha
qayem rakhe .
آمین یا رب العالمين
Comments
Post a Comment