Dajjal se bhi khatarnaak fitna
Nabi kareem ne
Farmaya: kya main tum ko
aisi Cheez ke bare me naa
bata dun jo Mere Nazdeek
Maseeh Dajjal se bhi Zyada
khatarnaak hai? Sahaba
ne arz kiya: Farmaiye Yaa
Rasulullah ?
Aap ne farmaya: wo
posheeda (chhupa hua) shirk
hai. Jo ye hai ke Aadmi
Namaz padhne khada hota
to apni namaz ko sirf is
wajah se khubsurati se ada
karta hai ke koi (bagal wala)
Aadmi use dekh raha hai.
Sunan ibne majah:
jild 5, kitab Az Zuhd 37,
Hadees Nu. 4204.
*Grade Sahih*
Maseeh Dajjal ka maamla
to wazeh hai jise Nabi
Kareem ne khol kar
(Saaf Alfaaz me) Bayan
farma diya hai (aur isse
bachna asaan hai)
Lekin Riya (dikhawa)
Aam Taur pr dil me is
tarha paida hoti hai ke ye
insaan ko Aahista Aahista
ALLAH Ta'ala ki bajaye
Logon ki taraf mutwajjah
kar deti hai.
(aur is se bachna intahi
mushkil hai) is liye
nabi kareem binne ise
fitna-e-Dajjal se bhi Zyada
khoufnaak aur shirk khafi
(chhupa hua) qarar diya
hai.
Rasulullah Subtitne Farmaya:
Main tumhare baare me sab se
Zyada jis cheez se darta hu wo
Chhota shirk hai sahaba ne arz
kiya Yaa Rasulullah chhota
shirk kya hai? Aap Se ne
farmaya: riya-kari (dikhawa/
showoff),
Qayamat ke din Jab logo ko
unke Amaal ka badla diya
jayega to Riyakaro se ALLAH
taala kahega: un logo ke paas
jao jinko dikhaana walion
duniya me amaal karte the aur
dekho kya tum unke paas koi
sila paate ho.
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
i Islamic Lifestyle se
Related Post ke
liye Follow kare
Comments
Post a Comment