Raaste Ka Huq // hadees sharif in hindi
Rasulullah ne Farmaya:
"Raaston pr Baithne se
Bacho! Sahaba ne Arz kiya:
Yaa Rasulullah ! Hamari
ye majlis to Bahut zaruri
hai, hum wahi Roz-Marrah
ki guftgu kiya karte hai,
To Aapne Farmaya ke
achha jab tum in majlison
me baithna hi chahte ho
to raste ka haq ada kiya
karo yaani raste kouska
haq do, Sahaba ne arz kiya
Rastay ka haq kya hai Yaa
Rasulullah. Is pr Aap ne Farmaya
(ghair Mehram aurton ko
dekhne se ) nazar neechi
akhna, aane jane walon ko
na satana, salam ka jawab
dena, bhalai ka hukm dena
aur buraai se rokna.
Bukhari sharif: jild-8,
kitab Al isti'dhan 79,
Hadees Nu. 6229
Post ko Share Jarur
Kare
Comments
Post a Comment