Hadees se nabi // Rasulullah mene Farmaya: "Jis cheez me bhi Be-Hayai
Rasulullah Ne Farmaya:
"Jis cheez me bhi Be-Hayai
aati hai use Aib daar
kar deti hai aur jis cheez me
Haya aati hai use Zeenat
Bakhshti hai".
Jaam e Tirmizi: jild 4, kitab Al Kabir wa as
silah 27, Hadees Nu. 1974
Islam me Haya pr bahut
zor diya gaya hai, aur
Haya wali Taalimaat
ko barre ehtimaam se
bayan kiya gaya hai, aur
jo Cheeze Be-Hayai ko
Farogh dene wali hongi, aur Jo log Be-Hayai ko Failane
ki koshish karenge unke liye
Sakht Wa'eed bayan ki hai.
Haya ko insaan ka Qeemti
Zewar qarar diya gaya hai,
Haya Insaan ke naik aur
Paakbaaz aur Sa'adat-mand
hone ki Alamat hai. Nabi-e-Kareem
Farmaya: Haya Imaan se hai
aur Imaan ka badla Jannat
hai, Fahashgoi zulm hai
jiska badla Jahannam hai
(ibne majah: 4184].
Ek Dusri hadees me Aap
ne farmaya: Tum me do (2)
khaslatein jo ALLAH Taala
ko mehboob hai; ek Sabr
aur dusri Haya
[ ibne majah: 4188].
Aur jo log Behayai ko
Farogh dene ki Koshish
karte hai Unke Baare me
Quran kareem me Sakht
Wa'eed bayan Farmayi hai;
Jo log musalmano me
Be-Hayai Failane ke Aarzoo
mand Rehte hai. Un ke
liye Duniya aur Aakhirat
me Dard-Naak Azaab hai
ALLAH Sab kuch janta
hai aur tum kuch bhi nahi
jante. [@Quran 24:19)
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
isIslamic Lifestyle se
Related Post ke
liye Follow kare
Comments
Post a Comment