Duniya ki Haisiyat // by sahana khan Islamic
Ek Baadshah Ne Kisi ALLAH
Wale Ko Apne Mahel Ke
Saaye me Bitha Diya! Jisne
Sukha Tukda Pani me Daal Kr
Khaya! Fir Sogaya! Jab Utha
To Baadshah Ne Use Bulwaya
Aur Pucha, Jab Tune Paani Ke Sath Sukha
Tukda Khaya Fir So gaya Tha,
Kya Tu Apne Parwardigar Se
Khush Tha? Usne Kaha, Haan!
Lekin Mai Tujhe (Baadshah
ko) Wo Shakhs Batlata hoo
Jo Isse Bhi Kam Pr Khush
Hogaya hai! Baadshah Ne Kaha Wo
Kaun Hai? Usne Kaha Jo
Aakhirat ke Badle Duniya
Pr Khush Ho gaya! Ye
Alfaaz Baadshah Pr
Kaargar Hogaye Aur Wo
Rone Laga! Ye Duniya Aakhirat Ke
Muqable Me Roti Ke Ek
Sukhe Tukde Se Bhi Kam
Haisivat Rakhti Hai! Fir Jo
Log Aakhirat Ko Bhoolaker
Is Duniya Ke Piche Pade Hue
Hain Kis-Qadr Be-Khaber
Aur Nadaan Hain!
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
Islamic Lifestyle se
Related Post ke
liye Follow kare
Comments
Post a Comment