Ise Kehte Hai Dosti ( Friends)
Imam Ghazali Rahi-
mahullahu Ta'ala Likhte
Hain Ke Ek Shakhs Apne
Dost Ke Paas Gaya Aur Us
Ka Darwaza Khatkhataya,
Dost Ne Puchha Ke Kaise
Aana Hua? Us Ne Kaha Ke Mujh Par 400
Dirham Qarz Hain...., Dost
Ne 400 Dirham Is Ke Hawale
Kar Diye Aur Rota Hua (Ghar
Ke Andar) Waapas Aaya!
Biwi Ne Kaha Ke Agar
Dirhamo Se Tujhe Itni
Muhabbat Thi To Diye Kyun? Us Ne Kaha Ke Main To
Is Liye Ro Raha Hoon Ke
Mujhe Apne Dost Ka Haal
Us Ke Bataye Bighair Kyun
Na Maloom Ho Saka Hatta
Ke Wo Mera Darwaza
Khatkhatane Par Majboor
Ho Gaya. Imam Ghazali Mazeed
Likhte Hain Ke Dosti
Ko Nikah Ke Talluq Ki
oh Tasawwur Karne
Chahiye Kyunki Is Mein
Bhi Huqooq Hain. Jo Cheez Zaroorat Aur Haa-
jat Se Zaayid Ho Use Bina
Maange Apne Dost Ko De
De, Agar Use Maangne Aur
Kehne Ki Naubat Aaye To Ye
Dosti Ke Darje Se Kharij Hai!
(ملخصا: کیمیائے سعادت، اردو،
ص 291)
Dosti Sirf Time Pass Karne
Ka Khilauna Nahin Hai Ke
Jab Jee Chaha Khela Aur
Zaroorat Poori Hone Par
Phenk Diya Balki Ye Ek
Bahut Pyara Rishta Hai. Is Rishte Ko Nibhana Bhi Har
Kisi Ke Bas Ki Baat Nahin.....,
Dost Ki Zaroorat Ko Mehsoos
Karne Ka Naam Dosti Hai,
Agar Humare Paas Maal Hai
Aur Dost Ko Zaroorat Hai To
Us Ke Moonh Kholne Se Pehle
De Dene Ka Naam Dosti Hai. Is Zamane Me Aise Dost
Bahut Kam Milte Hain Jo
Is Rishte Ki Ahmiyat Ko
Samajhte Hain, Shayad Main
Bhi Un Me Se Nahin, Humare
Dosto Ki Tadaad To Saikdo Me
Hai Lekin Kya Hum Ne Kisi
Ek Se Bhi Achhi Tarah Dosti
Nibhayi Hai? Is Sawal Ka Jawab Dene
Se Pehle Maine Guzre
Huye Dino Ko Yaad Kiya
To Koi Aisi Baat Nazar
Nahin Aayi Ke Main
Jawab Me "Haan" Keh
Sakoon.......!!!
Comments
Post a Comment