Saza ka Zaika (Taste) by sahana khan Islamic
Baadshah E Kisra Ne Apne
Bete Ke liye Ek Ustaad
Mukarrar Kiya Jo Use
Taalim Deta Tha Aur Adab
waar Sikhata Tha, Jab Wo
Baccha Mukammal Taur pr
Ilm w Fazl Se Maala Maal
Ho gaya. To Ustaad Ne Use Bulaya
Aur Bagair Kisi Zurm Aur
Bagair Kisi Sabab Ke Use
Intehaai Dardnaak Saza Di.
Us Ladke Ne Apne Ustaad Ke
Is Rawaiyye Ko Bahut Bura
Samjha Aur Dil me Uski Taraf
Se Adawat Paida Ho gayi, aur Usne Thaan liya
ki ek na ek din is Baat
ka Badla Jarur Lunga.
Isi Soch ke Sath Wo
Jawaan Ho gaya, Fir Ek Din Uska Baap
Margaya Aur Wo Baadshah
Bangaya! Baadshahi
Sambhalte Hi Usne Ustaad
Ko Bulaker Pucha Aapne
Fala Din Bagair Kisi Zurm
Aur Bagair Kisi Sabab Mujhe
Intehayi Dardnaak Saza Kyon
Di Thi? Ustaad Ne Kaha Aye
Baadshah! Jab Tu Ilm
w Fazl ke Kamaal Tak
Pahunch Gaya To Mujhe
Malum Hogaya Ki Baap
Ke Baad Tu Baadshah
Banega, Maine Socha Tujhe
Saza Ka Zaika (Lazzat)
Aur Zulm Ki Taklif Se
Pehchan Karadoon Taaki
Tu Uske Baad Kisi Per
Zulm Na Kare, Baadshah Ne Kaha,
ALLAH-TA'AALA Aapko
Jaza-A-Khair De Aur Fir
Unka Wazifa Mukarrar Kr
diya Aur Unke Kharche
Ki Adaayegi Ka Hukm
Jaari Kerdiya!
(Mukashfatul Kulub,)
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
Islamic Lifestyle se
Related Post ke
liye Follow kare
Comments
Post a Comment