Gunaho Ka Nekiyo Me Badalna
ALLAH Ta'ala Farmata Hai :
من تاب و أمن و عمل عملا صالحا
أوليگ يبدل الله ياهم كنت و
كان الله غفورا ريما o
(الفرقان:70)
Yaani Jis Ne Tauba Kar Li
Aur Iman Le Aaya Aur Nek
Amal Kiye To Ye Wo Log
Hain Jin Ke Gunaho Ko Allah
Nekiyo Se Badal Dega Aur
Allah Bahut Bakhshne Waala
Be-Had Raham Farmane
Waala Hai Imam Abu Mansoor
Matureedi (Mutawaffa 333
Hijri) Is Aayat Ki Tafseer Me
Likhte Hain :
Gunaho Ko Nekiyo Se
Badalne Ke Do Maana Hain,
Ek Ye Ke Gunaah Karne
Waale Jab Apne Gunaho Se
Tauba Kar Lete Hain Aur In Gunaho Par Nadim
Hote Hain To ALLAH Ta'ala In
Ko Aayinda Ki Zindagi Me Ye
Toufique Ata Farmata Hai Ke Wo
Har Guzishta Gunah Ki Jagah
Ek Neki Kar Lete Hain Aur Yun
(Is Toufique Ke Sabab) In Ka Har
Ek Gunah Neki Me Tabdeel Ho
Jaata Hai, Aur Dusra Maana Ye Hai Ke
Dunya Mein Logon Ko Agar
Apne Gunaho Par Nadamat
Aur Hasrat Paida Ho Jaaye
To Allah Ta'ala Aakhirat Me
Un Gunaho Ko Nekiyo Me
Tabdeel Farma Dega Humare Gunaho Ki Tadaad
Ba Zaahir Nekiyo Se Kayi
Guna Zyada Hain! Humein
Ple Gunano raumen
Hona Chahiye Aur Humesha
Gunaho Se Bachne Ki
Koshish Karte Rehni
Chahiye Taaki ALLAH Ta'ala
Humare Gunaho Ko
Se Badal De
Beshak Allah Ta'ala Ki
Rahmat Ke Aage Ye Ek
Chhoti Si Cheez Hai.
Post ko Share Jarur kare.
Quran, Hadees, Sunnat &
Islamic Lifestyle se
Related Post ke
liye Follow kare
Comments
Post a Comment