Posts

Featured Post

Accha Bolo Yaa Fir Chup Raho

Image
Huzur ne Farmaya: "Jo shakhs ALLAH aur Yaum e Aakhirat pr Imaan rakhta ho to use Chahiye ke wo Apne Mehmaan ki izzat kare, aur Jo ALLAH aur yaum e Aakhirat pr imaan rakhta ho to use chahiye ke wo achhi bhali baat kahe va Khamosh rahe". Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-qiyamah wa ar-riqaq wa al-wara 37, Hadees Nu. 2500 Malum hua ke Bolne se Pehle Bolne wala khub soch samajh le tab bole, yaa fir Khamosh hi rahe to Behtar hai, kahi aisa naa ho ke bhali baat bhi ulta Nuqsaan deh ho jaye.  Mehmaan ke aane par uska achhe Akhlaaq w Andaaz ke Saath isteqbaal karna, use Khush Aamdeed kehna (khatir-dari me kisi tarah ki kami naa hone dena, (salaam karna) aur uski.  Mehmaan ka jaiza (khusoosi aezaz wa Ikram) ek din ek raat hai, aur mehmaani 3 din 3 raat hai aur mehmaan ke liye yeh baat jayez nahi ke woh itna taweel qiyam kare ke jis se mezbaan mushaqqat me padh jaye. [Muslim: 639 ) Post ko Share Jarur kare. Quran, Hadees, Sunnat & Post liye Follow kare

Un Pr Jahannum Ki Aag Haraam Hai

Image
Nabi kareem ne Farmaya: Kya main tumhe aise logon ki khabar naa du jo Jahannum ki aag pr aur Jahannum ki aag un par Haraam hai? jahannum ki aag logon ke Qareeb Rahne wale, Aasani karne wale, aur Naram Akhlaq wale pr Haraam hai. Jamiat Tirmizi: jild 4, kitab sifat Al Qiyamah wa ar riqaq wa al wara 37, Hadees Nu. 2488 Yaani jo Apne Husn-e-Akhlaq aur Husn muamle se Logo ke dilon me aur Duniyawi muamlat me Dusron ke saath Aasani, Narmi, Tawaze, aur Khush Akhalaq tarz Apnane wala hai, iske liye Jahannum ki Aag Haraam hai. Ek hadees me Nabi kareem un ne farmaya: Qayamat ke din bande i ke Mizaan (tarazu) me sab se Bhari Chiz Husn-e-Akhlaq hoga [ Tirmizi: 2002). Quran, Hadees, Sunnat & Islamic Lifestyle se Related Post Dekhne ki Liye Follow karet & Post ko Share Kare

Namaz Aur Shaitaan /hadees sharif

Image
Ek Shakhs kahin Ja Raha tha Shaitan bhi uske Sath ho gaya, Raaste me us Shakhs ne na to Fajr Adaa ki na Zuhar na Asar na Maghrib aur na hi Isha Yaani ki ek bhi namaz nahi Padhi aur Sone Laga. To Shaitan bola ki mai chalta hu, Ispar wo bola kyun to Shaitan bola ki Maine sirf 1 Sajda nahin kiya tha wo bhi Hazrat Aadam Alaihissalam ko to Mujhpar itni laanate utri ki jiska Hisaab lagaana bhi mushkil hai.Aur tune to 1 bhi Sajda nahi kiya wo bhi Khudaye zul jalaal ko to mai darta hoon ki tujhpar kis qadr dardnaak Azaab Naazil ho sakta hai isliye main darta hu aur Tere Saath nahi Rahna chahta. Durratun Naseheen,Safah 286 Halanki ek Musalman shaitan ke barabar hargiz nahi ho sakta kyunki wo Mal'un Be-imaan hai aur Musalman Imaan wala hai magar ye Namaz ki ahmiyat ki Daleel hai ki Namaz Chhodhna kis Qadar Azaab ka Baa'is hai ki Shaitan Mal'un bhi us Shakhs se Panaah maangta hai jo Namaz nahi Padhta. Namaz hi wo ibaadat hai ki kisi Surat Maaf nahin warna Hajj saahibe isteta'at (D...

Islamic image with text hadees and quotes

Image
 

Madina Status Video 2022

Image
 

Raat ko Tauba mangna chahiye humhe, raza saqib mustafai videos 2022

Image
 

Some motivation lines, Islamic best emotions status 2022

Image