Posts

Showing posts from January, 2022

Accha Bolo Yaa Fir Chup Raho

Image
Huzur ne Farmaya: "Jo shakhs ALLAH aur Yaum e Aakhirat pr Imaan rakhta ho to use Chahiye ke wo Apne Mehmaan ki izzat kare, aur Jo ALLAH aur yaum e Aakhirat pr imaan rakhta ho to use chahiye ke wo achhi bhali baat kahe va Khamosh rahe". Jamiat Tirmidhi: jild 4, kitab sifat Al-qiyamah wa ar-riqaq wa al-wara 37, Hadees Nu. 2500 Malum hua ke Bolne se Pehle Bolne wala khub soch samajh le tab bole, yaa fir Khamosh hi rahe to Behtar hai, kahi aisa naa ho ke bhali baat bhi ulta Nuqsaan deh ho jaye.  Mehmaan ke aane par uska achhe Akhlaaq w Andaaz ke Saath isteqbaal karna, use Khush Aamdeed kehna (khatir-dari me kisi tarah ki kami naa hone dena, (salaam karna) aur uski.  Mehmaan ka jaiza (khusoosi aezaz wa Ikram) ek din ek raat hai, aur mehmaani 3 din 3 raat hai aur mehmaan ke liye yeh baat jayez nahi ke woh itna taweel qiyam kare ke jis se mezbaan mushaqqat me padh jaye. [Muslim: 639 ) Post ko Share Jarur kare. Quran, Hadees, Sunnat & Post liye Follow kare

Un Pr Jahannum Ki Aag Haraam Hai

Image
Nabi kareem ne Farmaya: Kya main tumhe aise logon ki khabar naa du jo Jahannum ki aag pr aur Jahannum ki aag un par Haraam hai? jahannum ki aag logon ke Qareeb Rahne wale, Aasani karne wale, aur Naram Akhlaq wale pr Haraam hai. Jamiat Tirmizi: jild 4, kitab sifat Al Qiyamah wa ar riqaq wa al wara 37, Hadees Nu. 2488 Yaani jo Apne Husn-e-Akhlaq aur Husn muamle se Logo ke dilon me aur Duniyawi muamlat me Dusron ke saath Aasani, Narmi, Tawaze, aur Khush Akhalaq tarz Apnane wala hai, iske liye Jahannum ki Aag Haraam hai. Ek hadees me Nabi kareem un ne farmaya: Qayamat ke din bande i ke Mizaan (tarazu) me sab se Bhari Chiz Husn-e-Akhlaq hoga [ Tirmizi: 2002). Quran, Hadees, Sunnat & Islamic Lifestyle se Related Post Dekhne ki Liye Follow karet & Post ko Share Kare

Namaz Aur Shaitaan /hadees sharif

Image
Ek Shakhs kahin Ja Raha tha Shaitan bhi uske Sath ho gaya, Raaste me us Shakhs ne na to Fajr Adaa ki na Zuhar na Asar na Maghrib aur na hi Isha Yaani ki ek bhi namaz nahi Padhi aur Sone Laga. To Shaitan bola ki mai chalta hu, Ispar wo bola kyun to Shaitan bola ki Maine sirf 1 Sajda nahin kiya tha wo bhi Hazrat Aadam Alaihissalam ko to Mujhpar itni laanate utri ki jiska Hisaab lagaana bhi mushkil hai.Aur tune to 1 bhi Sajda nahi kiya wo bhi Khudaye zul jalaal ko to mai darta hoon ki tujhpar kis qadr dardnaak Azaab Naazil ho sakta hai isliye main darta hu aur Tere Saath nahi Rahna chahta. Durratun Naseheen,Safah 286 Halanki ek Musalman shaitan ke barabar hargiz nahi ho sakta kyunki wo Mal'un Be-imaan hai aur Musalman Imaan wala hai magar ye Namaz ki ahmiyat ki Daleel hai ki Namaz Chhodhna kis Qadar Azaab ka Baa'is hai ki Shaitan Mal'un bhi us Shakhs se Panaah maangta hai jo Namaz nahi Padhta. Namaz hi wo ibaadat hai ki kisi Surat Maaf nahin warna Hajj saahibe isteta'at (D...

Islamic image with text hadees and quotes

Image
 

Madina Status Video 2022

Image
 

Raat ko Tauba mangna chahiye humhe, raza saqib mustafai videos 2022

Image
 

Some motivation lines, Islamic best emotions status 2022

Image
 

respect for women, heart touching status 2022

Image
 

Raza saqib mustafai // raza saqib mustafai bayan 2022

Image
 

Dajjal se bhi khatarnaak fitna

Image
Nabi kareem ne Farmaya: kya main tum ko aisi Cheez ke bare me naa bata dun jo Mere Nazdeek Maseeh Dajjal se bhi Zyada khatarnaak hai? Sahaba ne arz kiya: Farmaiye Yaa Rasulullah ? Aap ne farmaya: wo posheeda (chhupa hua) shirk hai. Jo ye hai ke Aadmi Namaz padhne khada hota to apni namaz ko sirf is wajah se khubsurati se ada karta hai ke koi (bagal wala) Aadmi use dekh raha hai. Sunan ibne majah: jild 5, kitab Az Zuhd 37, Hadees Nu. 4204. *Grade Sahih* Maseeh Dajjal ka maamla to wazeh hai jise Nabi Kareem ne khol kar (Saaf Alfaaz me) Bayan farma diya hai (aur isse bachna asaan hai) Lekin Riya (dikhawa) Aam Taur pr dil me is tarha paida hoti hai ke ye insaan ko Aahista Aahista ALLAH Ta'ala ki bajaye Logon ki taraf mutwajjah kar deti hai.  (aur is se bachna intahi mushkil hai) is liye nabi kareem binne ise fitna-e-Dajjal se bhi Zyada khoufnaak aur shirk khafi (chhupa hua) qarar diya hai. Rasulullah Subtitne Farmaya: Main tumhare baare me sab se Zyada jis cheez se darta hu wo Chhota s...

Un Shauhar -Biwi pr Raham Farmaye

Image
Rasulullah ne Farmaya: ALLAH us Shakhs pr Raham Farmaye jo Raat ko uthe aur Namaz Parhe aur Apni Biwi ko bhi Bedaar kare (Jagaaye), Agar wo naa uthe to Uske Chehre pr paani ke Chheente maarkr use Namaz ke liye Uthaye, ALLAH us Aurat pr bhi Raham farmaye jo Raat ko uth kar Namaz Parhe aur Apne Shohar ko bhi jagaaye, Agar wo na uthe to Uske chehre pr Paani ke Chheente maarkr Namaz ke liye Uthaye. Sunan Abi dawud: jild 2, kitab Al-Salat (Namaz) 5, Hadees Nu. 1308 -) Huzur Jiske liye Raham ki Dua Farma De ALLAH Kabhi Un pr Apna Azaab Naazil nahi Karega Unke Sirf Ek hi Thikana hai aur wo hai Jannatul Firdaus. Kyun ke Paani Chhidakne se wo Jaag Jayega aur Namaz ada karega to wo bhi Sawaab ki Mustahik hogi. Musalman ki Muhabbat / Rishtedaari/Dosti ka matlab Ye Nahi hai ki Uske Sath Sirf Apni Duniyawi Zindagi Guzaari Jaaye Balki Khud bhi Naik Kaam Kare aur Usko bhi Naik Kaamo me Lagakar Hamesha Hamesha ke Liye Apna Jannati Sathi Banaya Jaaye. Saqib Raza Mustafai Sahab Farmate hai Ki Kisi se bh...

Musalmanom Ki Kamzori aur Bebasi Ki Asali Wajah

Image
Rasulullah sallallaho wale vasllam ne Farmaya Kareeb hai ki Dusri Qaume Tum pr Is Tarah Tut Padhegi jaise Bhukhe dastarkhan ki taraf Lapakte Hain Sahaba ne Sawal kiya :- Kya ye is Wajah se Hoga ki Hamari Tadad kam Hogi.  Аар sallallaho wale vasllam ne Farmaya Nahin Tum us Waqt Tadad me bahut Zyada Honge, Magar Tum Sailaab ke Jhaag ke Maanind Be-Haisiyat ho Jaoge: Tumhare Dushman Ke Dil Se Tumhara Roab nikal Jayega aur Tumhare Dil Me vahan dakhil ho jayega. Sahaba ne Sawal kiya :- Vahan kya chij hai ? Aap sallallaho wale vasllam ne Farmaya  Duniya Ki Muhabbat aur Maut Se Karahat. Sunan Abi Dawud Aaj na shahadat ki tamanna rahi na wo sab kuch qurban karne ki chahat Aai rahi to burst duniya ki Mohabbat rahi . Jab Tak ye ummat jihad ki taraf wapas nhi Aayegi koi iski halat nhi badal skta Halat badalna hai to Nikalo is khatm ho Jane wali duniya ko Dil se aur Puri tarah Deen ki taraf wapas a jao aur koi nhi badal sakta ye halat. ye jab bhi badlegi Rasulullah Deen se hi badlegi Aur r...

Raaste Ka Huq // hadees sharif in hindi

Image
Rasulullah ne Farmaya: "Raaston pr Baithne se Bacho! Sahaba ne Arz kiya: Yaa Rasulullah ! Hamari ye majlis to Bahut zaruri hai, hum wahi Roz-Marrah ki guftgu kiya karte hai, To Aapne Farmaya ke achha jab tum in majlison me baithna hi chahte ho to raste ka haq ada kiya karo yaani raste kouska haq do, Sahaba ne arz kiya Rastay ka haq kya hai Yaa Rasulullah. Is pr Aap ne Farmaya (ghair Mehram aurton ko dekhne se ) nazar neechi akhna, aane jane walon ko na satana, salam ka jawab dena, bhalai ka hukm dena aur buraai se rokna. Bukhari sharif: jild-8, kitab Al isti'dhan 79, Hadees Nu. 6229 Post ko Share Jarur Kare

Naya Saal Ki Mubarak Baad Dena Aur 31st Night Manana Kaisa Hai 2022

Image
Ye baat Zehan nasheen kr lena chahiye ke islam me hr woh kaam jayez hai jis ke mualliq islam me koi waad o waeed na ayi ho ya mazammat na ki gyi ho.  Islam me naye saal ki Mubarak Baad Dena bila karahiyat jayez hai. Kyunki isse Maqsood ye hotan ke aap ka Aane wala saal behtar ho. Aur ye duaiya taur par wish Kiya jata hai. Lekin naye saal se phle 31st night me jo khurafaati Rusoomaat hote hai jaise nach, gaana, mard o aurat ka milna , zina kari, badkaari, badnigaahi, sharaab noshi, wagaira ye kaam Najayez o Haram hai. Hr Musalman ko isse bachna zaroori hai. Aaj kal hamare yaha ek galat riwaaj ko bht zyada furoog diya ja raha hai jo 31st December ko New Year ke Night pr manaya jata hai .Bahut Afsos ki baat hai ke hamare Aksar mlMusalman Bhai Bahan isme mulawwis hai. Kitne hi Musalman Naujawan (Ladke/Ladki) ko dekha jata hai ke club me apni Puri Puri raatein guzarte hai aur kaun sa aisa gunah hai jo is raat nahi kiya jata, apne nabiraba culture ko chofh kr Western culture ko Apna Bna ...